Bloglovin

Follow on Bloglovin

Monday, December 1, 2008

A Tribute to all of them

This is a tribute to all those soldiers who have given their lives for us and who are still a sheild for us leaving their families and personal interests behind...

I love this poem alot.. Its written by a very famous poet Ramkumar Chaturvedi ji widely known as "Chanchal ji"


Desh ka Naksha

Na kagaz ko manate hain, Na syahi ko satate hain,
Lahoo wale lahoo se Desh ka Naksha banate hain..

Pahado se irade hain, Samandar si rawani hai,
Hamesha aag se athkheliyaan karti jawani hai.
Dishayein Dhyaan se sunti, Hawayein gungunati hain,
Sitaron ki Zubaano pe shaheedo ki kahaani hai..

Jinhe suvidha nahi bhati, na samjhote suhaate hain,
Gagan ko odhte hain, aur dharti ko bichate hain.

shahadat ko na samjhenge padon par aithnewale,
kuchakron main dhale sinhasano par baithnewale.
teejori bhakti hai jinki,kutilta shakti hai jinki
khushamad ki nadi main zindagi bhar paithne wale.

shahadat ek sauda hai watan par jaan dene ka,
jinhe swikar hai,vo maut se nazren milate hain.

swayam matha jhukata samne bhugol ata hai,
yashogatha swayam ithihas padkar sunata hai.
ki uski chah main sansar sukh ki sans leta hai,
shadhat vriksh hai,jisko yugon ka tap ugata hai.

na chandi bole pati hai, na sona taul pata hai,
kubero ke khazane dhool main aansu bahate hain.
jinhe raftar pyari hai, usi main chur rehete hain,
shahedon ke charan vigyapano se door rehete hain
kabhi anyay se takkar kabhi sangharsh shoshan se,
sada jwalamukhi ye aag se bharpur rehete hain.

na goli rok pati hai,na fansi tok pati hai,
ki karagar ko bhi mukti ka mandir manate hain.

Shaheedon ka satat sangharsh hi Imaan hota hai,
Rahe bedag Azaadi yehi armaan hota hai.
watan ki dhool hi inke liye hai swarg ka chandan,
Ki inka isht jita jaagta insaan hota hai.

yugon ki aandhiyon main bhi andhere cheerti hain jo,
laho se seenchkar aisi mashalon ko jalate hain...
-----------

I guess i have conveyed my heart with this .

A heaps of Thanx to all of them. :)

2 comments:

  1. Here it Goes:

    Na kagaz ko manate hain, Na syahi ko satate hain,
    Lahoo wale lahoo se Desh ka Naksha banate hain..


    Pahado se irade hain, Samandar si rawani hai,
    Hamesha aag se athkheliyaan karti jawani hai.
    Dishayein Dhyaan se sunti, Hawayein gungunati hain,
    Sitaron ki Zubaano pe shaheedo ki kahaani hai..


    Jinhe suvidha nahi bhati, na samjhote suhaate hain,
    Gagan ko odhte hain, aur dharti ko bichate hain,


    SHAHADAT KO NA SAMJHENGE PADON PAR AITHNEWALE,KUCHAKRON MAIN DHALE SINHASANO PAR BAITHNEWALE.TEEJORI BHAKTI HAI JINKI,KUTILTA SHAKTI HAI JINKI KHUSHAMAD KI NADI MAIN ZINDAGI BHAR PAITHNE WALE.

    SHAHADAT EK SAUDA HAI WATAN PAR JAAN DENE KA. JINHE SWIKAR HAI,VO MAUT SE NAZREN MILATE HAIN

    SWAYAM MATHA JHUKATA SAMNE BHUGOL ATA HAI,YASHOGATHA SWAYAM ITHIHAS PADKAR SUNATA HAI.KI USKI CHAH MAIN SANSAR SUKH KI SANS LETA HAI,SHADHAT VRIKSH HAI,JISKO UGON KA TAP UGATA HAI.

    NA CHANDI BOLE PATI HAI NA SONA TAUL PATA HAI,KUBERO KE KHAZANE DHOOL MAIN AANSU BAHATE HAIN.

    JINHE RAFTAR PYARI HAI,USI MAIN CHUR REHTE HAIN,SHAHIDON KE CHARAN VIGYAPANO SE DUR REHTE HAIN.KABHI ANYAY SE TAKKAR,KABHI SANGHARSH SHOSHAN SE,SADA JWALAMUKHI YE AAG SE BHARPUR REHTE HAIN.

    NA GOLI ROK PATI HAI,NA FANSI TOK PATI HAI,KI KARAGAR KO BHI MUKTI KA MANDIR MANATE HAIN.

    SHAHIDON KA SATAT SANGHARSH HI IMAN HOTA HAI,RAHE BEDAG AAZADI,YAHI ARMAN HOTA HAI.WATAN KI DHOOL HI UNKE LIYE HAI SWARG KA CHANDAN,KI INKA ISHT JITA JAGTA INSAAN HOTA HAI.

    YUGON KI AANDHIYAN MAIN BHI ANDHERE CHEERTI HAIN JO,LAHO SE SEENCHKAR AISI MASHALON KO JALATE HAIN.

    For Shesha :)

    ReplyDelete
  2. O Bhai.. thanQ soooo much.. i really wanted this... and i was searching the full ver. of this poem in our study... :)
    Love u for this.. :) Thanqq..

    ReplyDelete

Thankyou for your feedback :)

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...